Parkash Fikri

ajib rut hai daraKHton ko be-zaban dekhun

Parkash Fikri

Ambala, Haryana, India

1930-2008
ajiib rut hai daraḳhtoñ ko be-zabāñ dekhūñ
dayār-e-shām meñ aahoñ kā maiñ dhuāñ dekhūñ
chahār samt se aa.ī thī barf kī āñdhī
kahīñ na phuul na rañgoñ kī titliyāñ dekhūñ
yaqīn un ko dilā.ūñ chamakte sūraj kā
hisār-e-shab meñ jo sahme hue makāñ dekhūñ
zamīñ ko tū ne Darāyā sadā masā.ib se
kabhī tujhe bhī hirāsāñ ai āsmāñ dekhūñ
laboñ pe jis ke musalsal pukār paanī kī
usī kī aañkh se dariyā bhī ik ravāñ dekhūñ
lahū-luhān to koī nazar nahīñ aatā
lahū meñ Duubī magar sab kī uñgliyāñ dekhūñ
hamāre ahd ke logoñ ko kyā huā 'fikrī'
sabhoñ meñ bujhtī huī aag kā samāñ dekhūñ
Top Urdushayar.com