Parkash Fikri

aandhiyan aati hain aur peD gira karte hain

Parkash Fikri

Ambala, Haryana, India

1930-2008
āñdhiyāñ aatī haiñ aur peḌ girā karte haiñ
hādse ye to yahāñ roz huā karte haiñ
un ke dil meñ bhī koī khoj to pinhāñ hogī
ye parinde jo havāoñ meñ uḌā karte haiñ
ḳhuun kā rañg liye garm dhueñ ke bādal
sard aḳhbār ke siine se uThā karte haiñ
in añdheroñ meñ koī raah to raushan hotī
ye sitāre to har ik raat jalā karte haiñ
haar ke zaḳhm kabhī jiit kī lazzat bhī kabhī
ham tasavvur meñ ka.ī khel rachā karte haiñ
jin ke chehroñ pe koī dhuup na saayā koī
un makānoñ meñ ajab log rahā karte haiñ
din ke sahrā meñ jise DhūñD na paa.eñ 'fikrī'
shab ke jañgal meñ vo āvāz sunā karte haiñ
Top Urdushayar.com