zard peḌoñ pe shaam hai giryāñ
jī udāsī ke dasht meñ hairāñ
nīm-raushan siyāhiyāñ har sū
aur havā.eñ sukūt par ḳhandāñ
Thahre paanī ke sard shīshe meñ
guzre mausam ke aks haiñ larzāñ
sab ke hoñToñ pe jam ga.iiñ bāteñ
sab kī āñkhoñ meñ raat nauha-ḳhvāñ
rabt rishtoñ ke rañg haiñ phīke
ḳhvāb qisse kahāniyāñ be-jāñ
jo thā raste kī raushnī 'fikrī'
vo bhī nazroñ se ho gayā pinhāñ