Parkash Fikri

chandi jaisi jhilmil machhli pani pighle nilam sa

Parkash Fikri

Ambala, Haryana, India

1930-2008
chāñdī jaisī jhilmil machhlī paanī pighle nīlam sā
shāḳheñ jis par jhukī huī haiñ dariyā bahte sargam sā
sūraj raushan rasta degā kaale gahre jañgal meñ
ḳhauf añdherī rātoñ kā ab naqsh huā hai maddham sā
dard na uTThā koī dil meñ lahū na Tapkā āñkhoñ se
kahne vaalā bujhā bujhā thā qissa bhī thā mub.ham sā
hañstī gaatī sab tasvīreñ sākit aur mab.hūt huiiñ
lagtā hai ab shahr hī saarā ek purāne album sā
sard akelā bistar 'fikrī' niiñd pahāḌoñ paar khaḌī
garm havā kā jhoñkā DhūñDūñ jī se giile mausam sā
Top Urdushayar.com