Parkash Fikri

shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai

Parkash Fikri

Ambala, Haryana, India

1930-2008
shabnam bhīgī ghaas pe chalnā kitnā achchhā lagtā hai
paañv tale jo motī bikhreñ jhilmil rasta lagtā hai
jaaḌe kī is dhuup ne dekho kaisā jaadū pher diyā
behad sabz daraḳhtoñ kā bhī rañg sunahrā lagtā hai
bheḌeñ ujlī jhaag ke jaisī sabza ek samundar sā
duur khaḌā vo parbat niilā ḳhvāb meñ khoyā lagtā hai
jis ne sab kī mail kasāfat dhoī apne hāthoñ se
dariyā kitnā ujlā hai vo shīshe jaisā lagtā hai
andar bāhar ek ḳhamoshī ek jalan bechainī se
kis ko ham batlā.eñ āḳhir ye sab kaisā lagtā hai
shaam lahakte jazboñ vaalī 'fikrī' kab kī raakh huī
chāñd-rū pahlī kirnoñ vaalā dard kā maarā lagtā hai
Top Urdushayar.com