Noor Mohammad Noor

ghairon ko ata aur jafa mere liye hai

Noor Mohammad Noor

Moradabad, Uttar pradesh, India

1930
ġhairoñ ko atā aur jafā mere liye hai
ḳhush huuñ ki mohabbat kī sazā mere liye hai
ḳhush ho ke abhī taisha-e-farhād uThā le
ai ishq ye qudrat kī atā mere liye hai
tum jo bhī karo mālik-o-muḳhtār ho sāhab
pābandī-e-paimān-e-vafā mere liye hai
khul pā.egā kab uqda-e-rāz-e-dil-e-bulbul
rahne do use kaam mirā mere liye hai
jā.eñge kahāñ chhoḌ ke ye ziist ke sāmāñ
ye baaġh ye jannat kī havā mere liye hai
kuchh rabt nahīñ ġhair kā un se ġham-e-daurāñ
ye barq ye tūfān-e-balā mere liye hai
kyuuñ 'nūr' jhukāte kahīñ apnā sar-e-aqdas
dar terā jo sajde ko banā mere liye hai
Top Urdushayar.com