rañgīn ḳhvāb aas ke naqshe jalā bhī de
jaañ pe banī hai raushnī is ko bujhā bhī de
nāmūs-e-zabt bojh hai kab tak liye phirūñ
saarī umīdeñ chhīn ke mujh ko rulā bhī de
pahuñchā hai kis kī khoj meñ hadd-e-zavāl tak
gum ho gayā hai kaun tū us kā patā bhī de
bechārgī kī raat ke ġhār-e-siyāh se
qaid-e-sukūt toḌ ke koī sadā bhī de
har aa.ine pe vaqt kī uñglī ke daaġh haiñ
miT jo sakeñ ye daaġh to in ko miTā bhī de
is dasht-e-be-giyāh meñ majbūr huuñ khaḌā
manzil kā kuchh nishān de rastā batā bhī de
jis pe rutoñ ke haath kī tahrīr hai likhī
'fikrī' vo apne jism kī dīvār Dhā bhī de