kisī kā naqsh andhere meñ jab ubhar aayā
udaas chehra shab-e-dard kā nikhar aayā
khule kivāḌoñ ke pīchhe chhupā thā sannāTā
safar se haarā musāfir jab apne ghar aayā
javāz DhūñDe vo apne shikasta-ḳhvāboñ kā
maiñ us kī āñkhoñ se aise savāl kar aayā
vo aks aks ḳhayāloñ kā aa.ina niklā
mujhe vo shaḳhs ujāle meñ jab nazar aayā
ukhaḌtī sāñsoñ meñ kyā thā batā.ūñ kyā 'fikrī'
yahī samajh lo ki qissa tamām kar aayā