mujhe to yuuñ bhī isī raah se guzarnā thā
dil-e-tabāh kā kuchh to ilaaj karnā thā
mirī navā se tirī niind bhī sulag uThtī
zarā sā is meñ sharāroñ kā rañg bharnā thā
sulagtī ret pe yādoñ ke naqsh kyuuñ chhoḌe
tujhe bhī gahre samundar meñ jab utarnā thā
milā na mujh ko kisī se ḳhirāj ashkoñ meñ
havā ke hāthoñ mujhe aur kuchh bikharnā thā
usī pe daaġh hazīmat ke lag ga.e dekho
yaqīñ kī aag se jis shakl ko nikharnā thā
maiñ khañDaroñ meñ use DhūñDtā phirā 'fikrī'
magar kahāñ thā vo aaseb jis se Darnā thā