Zafar Iqbal

na ghaT hai koi apna na ghar hamara hua

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
na ghaaT hai koī apnā na ghar hamārā huā
qayām ab ke sar-e-rah-guzar hamārā huā
ġharaz rahī na kabhī manziloñ se koī hameñ
hamesha apne hī andar safar hamārā huā
usī kī raushnī kaam aa.ī umr-bhar apne
jo ik sitāra faqat shām-bhar hamārā huā
hamāre hisse meñ dīvār hī rahī din raat
koī darīcha hamārā na dar hamārā huā
hamāre ḳhuuñ se guzar kar hī teġh-e-barq bujhī
hamāre ḳhas meñ utar kar sharar hamārā huā
zar-e-suḳhan jo luTāyā hai rāste meñ kahīñ
to duur dasht-e-havā meñ ḳhatar hamārā huā
rahe haiñ be-samar o saaya hī sar-e-hastī
barā.e naam yahāñ par shajar hamārā huā
isī meñ uljhe hue haiñ hamāre paañv abhī
jo ek ḳhvāb kabhī sar-ba-sar hamārā huā
kisī sanad kī zarūrat nahīñ paḌī hai 'zafar'
hamārā aib hī āḳhir hunar hamārā huā
Top Urdushayar.com