khaḌī hai shaam ki ḳhvāb-e-safar rukā huā hai
yaqīn kyuuñ nahīñ aatā agar rukā huā hai
guzarne vaale the jo bhī guzar ga.e lekin
miyān-e-rāh koī be-ḳhabar rukā huā hai
baras rahā hai na chhaTtā hai ye ka.ī din se
jo ek abr mirī ḳhaak par rukā huā hai
ravāñ bhī silsial-e-ashk hai abhī kuchh kuchh
ye qāfila jo kahīñ besh-tar rukā huā hai
abhī nikal nahīñ saktā gharoñ se koī yahāñ
ki sail-e-āb abhī dar-ba-dar rukā huā hai
har ek shai hai kisī raakh meñ badalne ko
kahīñ jo ḳhāna-e-ḳhas meñ sharar rukā huā hai
chalī huī thī mirī baat jitne zoroñ se
usī hisāb se is kā asar rukā huā hai
pahuñch sake kisī manzil pe kyā musāfir-e-dil
ki chal rahā hai ba-zāhir magar rukā huā hai
ye harf o saut karishme haiñ sab usī ke 'zafar'
lahū ke saath ragoñ meñ jo Dar rukā huā hai