Zafar Iqbal

milun us se to milne ki nishani mang leta hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
milūñ us se to milne kī nishānī maañg letā huuñ
takalluf-bartaraf pyāsā huuñ paanī maañg letā huuñ
savāl-e-vasl kartā huuñ ki chamkā.ūñ lahū dil kā
maiñ apnā rañg bharne ko kahānī maañg letā huuñ
ye kyā ahl-e-havas kī tarah har shai māñgte rahnā
ki maiñ to sirf us kī mehrbānī maañg letā huuñ
vo sair-e-sub.h ke aalam meñ hotā hai to maiñ us se
ghaḌī bhar ke liye ḳhvāb-e-javānī maañg letā huuñ
jahāñ rukne lage mere dil-e-bīmār kī dhaḌkan
maiñ un qadmoñ se thoḌī sī ravānī maañg letā huuñ
mirā meyār merī bhī samajh meñ kuchh nahīñ aatā
na.e lamhoñ meñ tasvīreñ purānī maañg letā huuñ
ziyāñ-kārī 'zafar' buniyād hai merī tijārat kī
subuksārī ke badle sargirānī maañg letā huuñ
Top Urdushayar.com