Zafar Iqbal

hai koi iKHtiyar duniya par

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
hai koī iḳhtiyār duniyā par
na hameñ e'tibār duniyā par
apnā dār-o-madār dil par hai
aap kā inhisār duniyā par
jab jhaḌā merā āḳhirī pattā
aa chukī thī bahār duniyā par
hamla-āvar havā ḳhudā ḳhud bhī
is nahīf-o-nazār duniyā par
jab koī abr jhuum kar barsā
chhā rahā thā ġhubār duniyā par
Daal rakkhī thī koī ḳhud us ne
chādar-e-intizār duniyā par
saarā ilzām dhar diyā kaisā
ham ne pāyān-e-kār duniyā par
yuuñ tavaqqo hī bāñdhnā thī ġhalat
aisī nā-pā.edār duniyā par
ham pe duniyā huī savār 'zafar'
aur ham haiñ savār duniyā par
Top Urdushayar.com