Zafar Iqbal

ajab koi zor-e-bayan ho gaya hun

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ajab koī zor-e-bayāñ ho gayā huuñ
rukā huuñ to phir se ravāñ ho gayā huuñ
bahut gard uḌne lagī mere pīchhe
akelā hī maiñ kārvāñ ho gayā huuñ
sabhī mere hone pe ḳhush ho rahe haiñ
mujhe bhī batāo kahāñ ho gayā huuñ
kināre nikal aa.e haiñ mere andar
ba-zāhir to maiñ be-karāñ ho gayā huuñ
kisī kaam se shādmāñ hote hote
kisī baat se bad-gumāñ ho gayā huuñ
kisī ke liye vāqi.a huuñ yahāñ par
kisī ke liye dāstāñ ho gayā huuñ
maiñ bāhar to mahfūz thā har tarah se
ghar aayā huuñ aur be-amāñ ho gayā huuñ
jo paḌne lagī thī bahut merī qīmat
huuñ sharminda aur rā.egāñ ho gayā huuñ
'zafar' kaam luuñ ab ishāroñ se kab tak
zabāñ toḌ kar be-zabāñ ho gayā huuñ
Top Urdushayar.com