yuuñ bhī hotā hai ki yak dam koī achchhā lag jaa.e
baat kuchh bhī na ho aur dil meñ tamāshā lag jaa.e
ham savālāt kā hal soch rahe hoñ abhī tak
aur māthe pe mohabbat kā natīja lag jaa.e
abhī dīvār uThā.ī bhī na ho dil kī taraf
lekin is meñ koī dar koī darīcha lag jaa.e
kyā sitam hai ki vahī duur rahā ho tum se
aur usī shaḳhs pe ilzām tumhārā lag jaa.e
puurī āvāz se ik roz pukārūñ tujh ko
aur phir merī zabāñ par tirā taalā lag jaa.e
aur to is ke savā kuchh nahīñ imkān ki ab
mere dariyā meñ kahīñ terā kināra lag jaa.e
maiñ ne aur dil ne isī baab meñ sochā hai ki ham
kaam kuchh bhī na kareñ koī vazīfa lag jaa.e
kyā tamāshā hai ki baaqī ho samundar kā safar
aur sāhil se kisī roz safīna lag jaa.e
ye bhī mumkin hai ki is kār-gah-e-dil meñ 'zafar'
kaam koī kare aur naam kisī kā lag jaa.e