Zafar Iqbal

ruKH-e-zeba idhar nahin karta

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933

ruḳh-e-zebā idhar nahīñ kartā

chāhtā hai magar nahīñ kartā

sochtā hai magar samajhtā nahīñ

dekhtā hai nazar nahīñ kartā

band hai us dar agar mujh par

kyuuñ mujhe dar-ba-dar nahīñ kartā

harf-e-inkār aur itnā tavīl

baat ko muḳhtasar nahīñ kartā

na kare shahr meñ vo hai to sahī

mehrbānī agar nahīñ kartā

husn us usī maqām pe hai

ye musāfir safar nahīñ kartā

ke samjhā.eñ kyā use ki 'zafar'

bhī to darguzar nahīñ kartā

Top Urdushayar.com