bas ek baar kisī ne gale lagāyā thā
phir us ke ba.ad na maiñ thā na merā saayā thā
galī meñ log bhī the mere us ke dushman log
vo sab pe hañstā huā mere dil meñ aayā thā
us ek dasht meñ sau shahr ho ga.e ābād
jahāñ kisī ne kabhī kārvāñ luTāyā thā
vo mujh se apnā patā pūchhne ko aa nikle
ki jin se maiñ ne ḳhud apnā surāġh paayā thā
mire vajūd se gulzār ho ke niklī hai
vo aag jis ne tirā pairahan jalāyā thā
mujhī ko tāna-e-ġhārat-garī na de pyāre
ye naqsh maiñ ne tire haath se miTāyā thā
usī ne ruup badal kar jagā diyā āḳhir
jo zahr mujh pe kabhī niiñd ban ke chhāyā thā
'zafar' kī ḳhaak meñ hai kis kī hasrat-e-tāmīr
ḳhayāl-o-ḳhvāb meñ kis ne ye ghar banāyā thā