lamhoñ ko udāsī meñ samonā nahīñ achchhā
taqdīr bigaḌ jaa.e to ronā nahīñ achchhā
har ek ko har ruḳh se haqīqat nazar aa.e
is ghar meñ koī aisā khilaunā nahīñ achchhā
jo log sadā zulm ke kāñToñ pe pale haiñ
un ke liye phūloñ kā bichhaunā nahīñ achchhā
pahle bhī bahut ashk sambhāle the magar aaj
motī vo mile haiñ ki pironā nahīñ achchhā
'manzar' bhī nafāsat ke alam-dār the lekin
ab ḳhuun ke in dāġhoñ ko dhonā nahīñ achchhā