ye nahīñ kahtā ki dobāra vahī āvāz de
koī āsānī to paidā kar koī āvāz de
maiñ use sun kar bhī aane kā nahīñ majbūr huuñ
phir bhī apne ḳhvāb-ḳhāne se kabhī āvāz de
ho sake donoñ zamānoñ meñ ham-āhañgī koī
maiñ purānā huuñ to kyā mujh ko na.ī āvāz de
maut ke sāhil par istāda huuñ to mujh ko kahīñ
zindagī ke pāniyoñ meñ Dūbtī āvāz de
Thiik hai tū ne pukārā hogā jis-tis ko magar
mere hisse meñ koī aa.ī huī āvāz de
bin bulāyā hī chalā ā.ūñgā maiñ shāyad kabhī
lekin itne shor meñ to aap bhī āvāz de
maiñ use pahchān hī pā.ūñ na pahlī baar to
koī āvāzoñ ke jañgal meñ ghirī āvāz de
muñh se kuchh kah to sahī is ḳhāmushī ke ār-pār
mustaqil ko chhoḌ koī sarsarī āvāz de
tū ne to har haal meñ sunñā hai ab tujh ko 'zafar'
raushnī āvāz de yā tīrgī āvāz de