Zafar Iqbal

aag ka rishta nikal aae koi pani ke sath

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
aag kā rishta nikal aa.e koī paanī ke saath
zinda rah saktā huuñ aisī hī ḳhush-imkānī ke saath
tum hī batlāo ki us kī qadr kyā hogī tumheñ
jo mohabbat muft meñ mil jaa.e āsānī ke saath
baat hai kuchh zinda rah jaanā bhī apnā aaj tak
lahar thī āsūdgī kī bhī pareshānī ke saath
chal rahā hai kaam saarā ḳhuub mil-jul kar yahāñ
kufr bhī chimTā huā hai jazb-e-īmānī ke saath
farq paḌtā hai koī logoñ meñ rahne se zarūr
shahr ke ādāb the apnī bayābānī ke saath
ye vo duniyā hai ki jis kā kuchh Thikānā hī nahīñ
ham guzāra kar rahe haiñ dushman-e-jānī ke saath
rā.egānī se zarā aage nikal aa.e haiñ ham
is dafa to kuchh girānī bhī hai arzānī ke saath
apnī marzī se bhī ham ne kaam kar Daale haiñ kuchh
lafz ko laḌvā diyā hai beshtar ma.anī ke saath
fāsloñ hī fāsloñ meñ jaan se haarā 'zafar'
ishq thā lāhoriye ko ek multānī ke saath
Top Urdushayar.com