mere andar vo mere sivā kaun thā
maiñ to thā hī magar dūsrā kaun thā
log bhī kuchh ta.āruf karāte rahe
mujh ko pahle hī mālūm thā kaun thā
log andāze hī sab lagāte rahe
vo jabīñ kis kī thī naqsh-e-pā kaun thā
mujh se mil kar hī andāza hogā koī
vo alag kaun thā vo judā kaun thā
koī jis par na thā mausamoñ kā asar
baad sāvan ke bhī vo harā kaun thā
jis ko ahvāl saarā thā mālūm vo
be-ḳhabar rāste meñ paḌā kaun thā
muntazir jis kī duniyā rahī der tak
duur se koī aatā huā kaun thā
aa.ī jis kī mahak us se pahle kahīñ
vo savār-e-kamand-e-havā kaun thā
reza reza hī pahchān meñ thā 'zafar'
jānte the sabhī jā-ba-jā kaun thā