yahāñ sab se alag sab se judā honā thā mujh ko
magar kyā ho gayā huuñ aur kyā honā thā mujh ko
abhī ik lahar thī jis ko guzarnā thā saroñ se
abhī ik lafz thā meñ aur adā honā thā mujh ko
phir us ko DhūñDne meñ umr saarī biit jaatī
koī apnī hī gum-gashta sadā honā thā mujh ko
pasand aayā kisī ko merā āñdhī ban ke uThnā
kisī kī raa.e meñ bād-e-sabā honā thā mujh ko
vahāñ se bhī guzar aayā huuñ ḳhāmoshī meñ ab ke
jahāñ ik shor kī sūrat bapā honā thā mujh ko
dar-o-dīvār se itnī mohabbat kis ke liye thī
agar is qaid ḳhāne se rihā honā thā mujh ko
maiñ apnī raakh se be-shak dobāra sar uThātā
magar ik baar to jal kar fanā honā thā mujh ko
maiñ andar se kahīñ tabdīl honā chāhtā thā
purānī keñchulī meñ hī nayā honā thā mujh ko
'zafar' maiñ ho gayā kuchh aur varna asl meñ to
burā honā thā mujh ko yā bhalā honā thā mujh ko