abhī kisī ke na mere kahe se guzregā
vo ḳhud hī ek din is dā.ere se guzregā
bharī rahe abhī āñkhoñ meñ us ke naam kī niind
vo ḳhvāb hai to yūñhī dekhne se guzregā
jo apne aap guzartā hai kūcha-e-dil se
mujhe gumāñ thā mire mashvare se guzregā
qarīb aane kī tamhīd ek ye bhī rahī
vo pahle pahle zarā fāsle se guzregā
qusūr-vār nahīñ phir bhī chhuptā phirtā huuñ
vo merā chor hai aur sāmne se guzregā
chhupī ho shāyad isī meñ salāmtī dil kī
ye rafta rafta agar TūTne se guzregā
hamārī sāda-dilī thī jo ham samajhte rahe
ki aks hai to isī ā.īne se guzregā
samajh hameñ bhī hai itnī ki us kā ahd-e-sitam
guzārnā hai to ab hausle se guzregā
galī galī mire zarre bikhar ga.e the 'zafar'
ḳhabar na thī ki vo kis rāste se guzregā