yahāñ kisī ko bhī kuchh hasb-e-ārzū na milā
kisī ko ham na mile aur ham ko tū na milā
ġhazāl-e-ashk sar-e-sub.h dūb-e-mizhgāñ par
kab aañkh apnī khulī aur lahū lahū na milā
chamakte chāñd bhī the shahr-e-shab ke aivāñ meñ
nigār-e-ġham sā magar koī sham.a-rū na milā
unhī kī ramz chalī hai galī galī meñ yahāñ
jinheñ udhar se kabhī izn-e-guftugū na milā
phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aa.e haiñ
phir aaj ham ko Thikāne kā ham-sabū na milā