abhī āñkheñ khulī haiñ aur kyā kyā dekhne ko
mujhe pāgal kiyā us ne tamāshā dekhne ko
vo sūrat dekh lī ham ne to phir kuchh bhī na dekhā
abhī varna paḌī thī ek duniyā dekhne ko
tamannā kī kise parvā ki sone jāgne meñ
mayassar haiñ bahut ḳhvāb-e-tamannā dekhne ko
ba-zāhir mutma.in maiñ bhī rahā is anjuman meñ
sabhī maujūd the aur vo bhī ḳhush thā dekhne ko
ab us ko dekh kar dil ho gayā hai aur bojhal
tarastā thā yahī dekho to kitnā dekhne ko
ab itnā husn āñkhoñ meñ samā.e bhī to kyūñkar
vagarna aaj use ham ne bhī dekhā dekhne ko
chhupāyā haath se chehra bhī us nā-mehrbāñ ne
ham aa.e the 'zafar' jis kā sarāpā dekhne ko