Zafar Iqbal

badla ye liya hasrat-e-izhaar se humne

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
badla ye liyā hasrat-e-iz.hār se ham ne
āġhāz kiyā apne hī inkār se ham ne
darvāza nahīñ apne sarokār meñ shāmil
hai rābta rakkhā huā dīvār se ham ne
imkān sā kholā huā sāhil kī havā par
ummīd sī bāñdhī huī us paar se ham ne
apnī hī bigāḌī huī sūrat ke alāva
kuchh aur nikālā nahīñ tūmār se ham ne
is kā bhī koī fā.eda pahuñchā na kisī ko
āsāñ jo barāmad kiyā dushvār se ham ne
manzil jo hamārī thī kahīñ rah ga.ī pīchhe
ye kaam liyā tundi-e-raftār se ham ne
ye dhuup hī thī apnī guzargāh so rakkhā
ik fāsla bhī sāya-e-ashjār se ham ne
jāñchā hai kisī aur tarīqe se ye sab kuchh
parkhā hai kisī apne hī me.aar se ham ne
us kī bhī adā kī hai 'zafar' aaj to qīmat
jo chiiz ḳharīdī nahīñ bāzār se ham ne
Top Urdushayar.com