Jawed Manzar

raste pe zulm-o-jaur ke chalne lage hain hum

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
raste pe zulm-o-jaur ke chalne lage haiñ ham
ab rāh-rau ke ḳhuun pe palne lage haiñ ham
mumkin hai koī baat ġhalat ham se ho ga.ī
yā yūñhī apnā rañg badalne lage haiñ ham
jis ke liye bane the usī rah-navard ko
dekhā jo mutma.in to machalne lage haiñ ham
jab tai huā safar to lahū pairahan huā
manzil ko dekhte hī ubalne lage haiñ ham
jitne ḳhayāl meñ the sitam sab hī Dah chuke
ab haath apne zulm pe malne lage haiñ ham
mānūs ho sakā na koī mutma.in huā
'manzar' qadam qadam pe sambhalne lage haiñ ham
Top Urdushayar.com