larzish-e-parda-e-iz.hār kā matlab kyā hai
hai ye dīvār to dīvār kā matlab kyā hai
jis kā inkār hathelī pe liye phirtā huuñ
jāntā hī nahīñ inkār kā matlab kyā hai
ek baar us ne agar de hī diyā saaf javāb
phir usī baat pe isrār kā matlab kyā hai
bechnā kuchh nahīñ is ne to ḳharīdār haiñ kyuuñ
āḳhir is garmi-e-bāzār kā matlab kyā hai
us kī rāhoñ meñ bikhar jaa.e ye ḳhākistar-e-chashm
aur apne liye dīdār kā matlab kyā hai
rabt baaqī nahīñ alfāz o ma.ānī meñ 'zafar'
kyā kaheñ us se ki is pyaar kā matlab kyā hai