lab pe takrīm-e-tamannā-e-subuk-pā.ī hai
pas-e-dīvār vahī silsila-paimā.ī hai
taḳhta-e-lāla kī har sham-e-farozāñ jaane
kis bhulāve meñ mujhe dekh ke lahrā.ī hai
ḳhāk-dar-ḳhāk chhupī hai mirī āñkhoñ kī chamak
jis ḳharābe meñ tirī anjuman-ārā.ī hai
apne hī paañv kī āvāz se Dar jaatā huuñ
maiñ huuñ aur rah-guzar-e-besha-e-tanhā.ī hai
phir sar-e-sub.h kisī dard ke dar vā karne
dhaan ke khet se ik mauj-e-havā aa.ī hai