tilism-e-hosh-rubā meñ patañg uḌtī hai
kisī aqab kī havā meñ patañg uḌtī hai
chaḌhe haiñ kāTne vāloñ pe lūTne vaale
isī hujūm-e-balā maiñ patañg uḌtī hai
patañg uḌāne se kyā man.a kar sake zāhid
ki us kī apnī abā meñ patañg uḌtī hai
ye aap kaTtī hai yā kāTtī hai dūsrī ko
bas ek bīm-o-rajā meñ patañg uḌtī hai
kahīñ chhatoñ pe bapā hai basant kā tyauhār
kahīñ pe tañgī-e-jā meñ patañg uḌtī hai
kahīñ falak pe saraktī hai sarsarātī huī
kahīñ diloñ kī fazā meñ patañg uḌtī hai
khulā hai is pe kuchh aise bahār kā mausam
hai ruḳh pe rañg qabā meñ patañg uḌtī hai
ye ḳhvāb hai ki ulajhtā hai aur ḳhvāboñ se
ye chāñd hai ki ḳhalā meñ patañg uḌtī hai
umīd-e-vasl meñ so jaa.eñ ham kabhī jo 'zafar'
to apnī ḳhvāb-sarā meñ patañg uḌtī hai