Zafar Iqbal

kuchh nahin samjha hun itna muKHtasar paigham tha

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kuchh nahīñ samjhā huuñ itnā muḳhtasar paiġhām thā
kyā havā thī jis havā ke haath par paiġhām thā
us ko aanā thā ki vo mujh ko bulātā thā kahīñ
raat bhar bārish thī us kā raat bhar paiġhām thā
lene vaalā hī koī baaqī nahīñ thā shahr meñ
varna to us shaam koī dar-ba-dar paiġhām thā
muntazir thī jaise ḳhud hī tinkā tinkā aarzū
ḳhār-o-ḳhas ke vāste goyā sharar paiġhām thā
kyā musāfir the ki the ranj-e-safar se be-niyāz
aane jaane ke liye ik rah-guzar paiġhām thā
koī kāġhaz ek maile se lifāfe meñ thā band
khol kar dekhā to us meñ sar-ba-sar paiġhām thā
har qadam par rāstoñ ke rañg the bikhre hue
chalne vāloñ ke liye apnā safar paiġhām thā
kuchh sifat us meñ parindoñ aur pattoñ kī bhī thī
kitnī shādābī thī aur kaisā shajar paiġhām thā
aur to laayā na thā paiġhām saath apne 'zafar'
jo bhī thā us kā yahī aib o hunar paiġhām thā
Top Urdushayar.com