apne inkār ke bar-aks barābar koī thā
dil meñ ik ḳhvāb thā aur ḳhvāb ke andar koī thā
ham pasīne meñ sharābor the aur duur kahīñ
aise lagtā hai kahīñ taḳht-e-havā par koī thā
us ke bāġhāt pe utrā huā thā mausam-e-rañg
qābil-e-dīd har ik samt se manzar koī thā
shak agar thā bhī to miTtā gayā hote hote
aur ab puḳhta yaqīñ hai ki sarāsar koī thā
is dil-e-tañg meñ kyā us kī rihā.ish hotī
yaanī andar to nahīñ thā mire bāhar koī thā
shakl kuchh yaad hai kuchh bhuul chukī hai us kī
koī din the ki mukammal mujhe azbar koī thā
dā.ere meñ kabhī rakkhā hī nahīñ us ne qadam
aur mohabbat ke mazāfāt meñ aksar koī thā
maiñ use chhoḌ ke ḳhud hī chalā aayā thā kabhī
aur ab pūchhtā phirtā huuñ mirā ghar koī thā
yāva-go thā 'zafar' is ahd-e-ḳharābī meñ koī
yāva-go hī use kahte haiñ suḳhan-var koī thā