Zafar Iqbal

kisi nai tarha ki rawani mein ja raha tha

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
kisī na.ī tarha kī ravānī meñ jā rahā thā
charāġh thā koī aur paanī meñ jā rahā thā
rukā huā thā vo qāfila to magar abhī tak
ġhubār apnī hī be-karānī meñ jā rahā thā
mujhe ḳhabar thī vo kyā karegā sulūk mujh se
so maiñ ba-zāhir to ḳhush-gumānī meñ jā rahā thā
maiñ tañgi-e-dil se ḳhush nahīñ thā isī sabab se
makāñ se bāhar kī lā-makānī meñ jā rahā thā
tum apnī mastī meñ aan Takrā.e mujh se yak-dam
idhar se maiñ bhī to be-dhyānī meñ jā rahā thā
tirī rukāvaT se bhī mire paañv kaise rukte
ki maiñ kisī aur sar-girānī meñ jā rahā thā
mire liye ajnabī thā sailāb-e-ḳhvāb meñ vo
jo lafz chup-chāp mauj-e-ma.anī meñ jā rahā thā
suḳhan se bīmār kyuuñ na hotā maiñ āḳhir apne
ki lutf saarā to ḳhush-bayānī meñ jā rahā thā
'zafar' mire ḳhvāb vaqt-e-āḳhir bhī tāza-dam the
ye lag rahā thā ki maiñ javānī meñ jā rahā thā
Top Urdushayar.com