din par soch sulagtī hai yā kabhī raat ke baare meñ
koī baat nikal aatī hai kā.enāt ke baare meñ
ek dūsre se kab saare sayyāre Takrāte haiñ
pur-ummīd bahut huuñ aise hādsāt ke baare meñ
kuchh sahtā huuñ guzarte hue zamāne ke lamhoñ kī sazā
kuchh kahtā huuñ nā-mumkin se mumkināt ke baare meñ
sote jāgte uThte baiThte apne hī jhagḌe nahīñ kam
aur ka.ī zātoñ kī uljhan ek zaat ke baare meñ
hairat kā ek apnā husn bhī hai larzā dene vaalā
koī pareshānī nahīñ us ke nabātāt ke baare meñ
ġhalat-salat sab ke apne apne andāze haiñ varna
kuchh bhī nahīñ kahā jā saktā kisī baat ke baare meñ
jab tak vo pahlī tarjīh rahegā sab ḳhairiyat hai
mausam ko hai tamām āgahī phuul paat ke baare meñ
qatre kī pahchān hī dariyā meñ gum ho jaanā hai kabhī
kaisā josh-o-ḳharosh hai us kī mulāqāt ke baare meñ
dil meñ koī chiiz chamaktī bujhtī rahtī hai jo 'zafar'
fikrmand bhī rahtā huuñ maiñ usī dhaat ke baare meñ