kab vo zāhir hogā aur hairān kar degā mujhe
jitnī bhī mushkil meñ huuñ āsān kar degā mujhe
rū-ba-rū kar ke kabhī apne mahakte surḳh hoñT
ek do pal ke liye gul-dān kar degā mujhe
ruuh phūñkegā mohabbat kī mire paikar meñ vo
phir vo apne sāmne be-jān kar degā mujhe
ḳhvāhishoñ kā ḳhuuñ bahā.egā sar-e-bāzār-e-shauq
aur mukammal be-e-sar-o-sāmān kar degā mujhe
munhadim kar degā aa kar saarī tāmīrāt-e-dil
dekhte hī dekhte vīrān kar degā mujhe
ek nā-maujūdgī rah jā.egī chāroñ taraf
rafta rafta is qadar sunsān kar degā mujhe
yā to mujh se vo chhuḌā degā ġhazal-goī 'zafar'
yā kisī din sāhab-e-dīvān kar degā mujhe