Jawed Manzar

bu-e-gul khinche na gulshan mein gul-e-tar khinche

Jawed Manzar

Karachi, Sindh, Pakistan

1948
bū-e-gul khīñche na gulshan meñ gul-e-tar khīñche
shauq-e-dīdār tirā ham ko hai dar dar khīñche
tū mujhe chāhe magar maiñ tujhe chāhūñ kaise
baat jab hai mirā dil bhī tirā paikar khīñche
maiñ ki manzil kā talabgār na samtoñ kā asiir
tū ki dariyā jise har lamha samundar khīñche
jabr ke saath ibādat meñ mazā kyā hogā
shauq se laakh hameñ masjid-o-mimbar khīñche
kab rahī terī tamannā dam-e-ruḳhsat mujh ko
koī bhī ruuh ko is jism se bāhar khīñche
ek hī pal meñ simaT jaa.e safar sadiyoñ kā
yuuñ nigāhoñ meñ qayāmat kā vo manzar khīñche
Top Urdushayar.com