had ho chakkī hai sharm-e-shakebā.ī ḳhatm ho
behtar hai ab duā kī pazīrā.ī ḳhatm ho
leñge hisāb mujh se abhī lafz lafz kā
yaanī zarā ye anjuman-ārā.ī ḳhatm ho
dekhā hai is navāh meñ vo kuchh ki ai ḳhudā
ab to yahī dikhā ki ye bīnā.ī ḳhatm ho
mumkin hai muntazir ho koī ḳhāk-e-ḳhush-ḳhisāl
shāyad kahīñ ye sāhil-e-rusvā.ī ḳhatm ho
hai duud ḳhāk-dār bahut paak ho havā
paanī hai zer-e-bār bahut kaa.ī ḳhatm ho
ḳhush-rañg meñ ghulā huā bad-rañg ho judā
aur shor meñ chhupī huī tanhā.ī ḳhatm ho
apne muqābil aap hī aa jā.ūñgā kabhī
tañg aa chukā huuñ ab mirī yaktā.ī ḳhatm ho
aakar vo merī baat sune aur javāb de
gar yuuñ nahīñ to phir ye shanāsā.ī ḳhatm ho
bāzār-e-bosa tez se hai tez-tar 'zafar'
ummīd to nahīñ ki ye mahñgā.ī ḳhatm ho