usī se aa.e haiñ āshob āsmāñ vaale
jise ġhubār samajhte the kārvāñ vaale
maiñ apnī dhun meñ yahāñ āñdhiyāñ uThātā huuñ
magar kahāñ vo maze ḳhāk-e-āshiyāñ vaale
mujhe diyā na kabhī mere dushmanoñ kā patā
mujhe havā se laḌāte rahe jahāñ vaale
mire sarāb-e-tamannā pe rashk thā jin ko
bane haiñ aaj vahī bahr-e-be-karāñ vaale
maiñ naala huuñ mujhe apne laboñ se duur na rakh
mujhī se zinda hai tū mere jism-o-jāñ vaale
ye musht-e-ḳhāk 'zafar' merā pairahan hī tū hai
mujhe zamīñ se Darā.eñ na kahkashāñ vaale