Zafar Iqbal

ye zamin aasman ka mumkin

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ye zamīn āsmān kā mumkin
nahīñ saare jahān kā mumkin
aql kī ḳhār-zār vaadī meñ
rakh liyā hai gumān kā mumkin
kuchh mire hāl-e-zār kā imkān
kuchh tirī ān-bān kā mumkin
haiñ vahī nā-rasā.ī ke naġhme
aur vahī mehrbān kā mumkin
kuchh ziyāda tabāh kar na sake
jism ke saath jaan kā mumkin
aage aage huuñ maiñ mire pīchhe
hai mire qadr-dān kā mumkin
dūr-tar hai surāġh kā sāhil
dhund meñ hai nishān kā mumkin
lā-makānī hī lā-makānī hai
kho chukā hai makān kā mumkin
is buḌhāpe meñ bhī 'zafar' aa kar
koī dekhe javān kā mumkin
Top Urdushayar.com