ise manzūr nahīñ chhoḌ jhagaḌtā kyā hai
dil hī kam-māya hai apnā to akaḌtā kyā hai
apne so.e hue sūraj kī ḳhabar le jā kar
is kamīñ-gāh meñ kirnoñ ko pakaḌtā kyā hai
jāntā hai ki utar jā.egī dil meñ mirī baat
varna sun le tū batā terā bigaḌtā kyā hai
shabnam-e-tāza hai ye phuul haiñ yā pate haiñ
dekh shāḳh-e-shajar-e-shām se jhaḌtā kyā hai
do qadam hai shab-e-ġham se shab-e-vāda ai dil
chand aahoñ ke sivā raah meñ paḌtā kyā hai
dil to bharpūr samundar hai 'zafar' kyā kiije
do ghaḌī baiTh ke rone se nabaḌtā kyā hai