Zafar Iqbal

KHamushi achchhi nahin inkar hona chahiye

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
ḳhāmushī achchhī nahīñ inkār honā chāhiye
ye tamāshā ab sar-e-bāzār honā chāhiye
ḳhvāb kī tābīr par isrār hai jin ko abhī
pahle un ko ḳhvāb se bedār honā chāhiye
Duub kar marnā bhī uslūb-e-mohabbat ho to ho
vo jo dariyā hai to us ko paar honā chāhiye
ab vahī karne lage dīdār se aage kī baat
jo kabhī kahte the bas dīdār honā chāhiye
baat puurī hai adhūrī chāhiye ai jān-e-jāñ
kaam āsāñ hai ise dushvār honā chāhiye
dostī ke naam par kiije na kyūñkar dushmanī
kuchh na kuchh āḳhir tarīq-e-kār honā chāhiye
jhuuT bolā hai to qaa.em bhī raho us par 'zafar'
aadmī ko sāhab-e-kirdār honā chāhiye
Top Urdushayar.com