zamīñ pe eḌī ragaḌ ke paanī nikāltā huuñ
maiñ tishnagī ke na.e ma.ānī nikāltā huuñ
vahī barāmad karūñgā jo chiiz kaam kī hai
zabāñ ke bātin se be-zabānī nikāltā huuñ
falak pe likhtā huuñ ḳhāk-e-ḳhvābīda ke manāzir
zamīn se rañg-e-āsmānī nikāltā huuñ
kabhī kabūtar kī tarah lagtā hai abr mujh ko
kabhī havā se koī kahānī nikāltā huuñ
bahut zarūrī hai merā apnī hadoñ meñ rahnā
so bahr se ḳhud hī be-karānī nikāltā huuñ
kabhī mulāqāt ho mayassar to is se pahle
dimāġh se saarī ḳhush-gumānī nikāltā huuñ
jo chheḌtā huuñ nayā koī naġhma-e-mohabbat
to sāz-e-dil se dhuneñ purānī nikāltā huuñ
koī Thahar kar bhī dekhnā chāhtā huuñ manzar
isī liye tab.a se ravānī nikāltā huuñ
'zafar' mire sāmne Thahartā nahīñ hai koī
to apne paikar se apnā saanī nikāltā huuñ