yaksū bhī lag rahā huuñ bikharne ke bāvajūd
puurī tarah marā nahīñ marne ke bāvajūd
ik dhuup sī tanī huī bādal ke ār-pār
ik pyaas hai rukī huī jharne ke bāvajūd
us ko bhī yaad karne kī fursat na thī mujhe
masrūf thā maiñ kuchh bhī na karne ke bāvajūd
pahlā bhī dūsrā hī kināra ho jis tarah
hālat vahī hai paar utarne ke bāvajūd
apnī taraf hī ruḳh thā vahāñ vārdāt kā
ilzām us ke naam pe dharne ke bāvajūd
hairāñ huuñ mujh meñ itnī ye himmat kahāñ se aa.ī
kar hī gayā huuñ kaam jo Darne ke bāvajūd
honā paḌā na hote hue bhī mujhe yahāñ
kuchh yaad rah gayā huuñ bisarne ke bāvajūd
jaisā bhī ye safar ho zarā ġhaur kījiye
kaisā ravāñ-davāñ huuñ Thaharne ke bāvajūd
niklā nahīñ hai koī natīja yahāñ 'zafar'
karne ke bāvajūd na bharne ke bāvajūd