Zafar Iqbal

agar is khel mein ab wo bhi shamil hone wala hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
agar is khel meñ ab vo bhī shāmil hone vaalā hai
to apnā kaam pahle se bhī mushkil hone vaalā hai
havā shāḳhoñ meñ rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte bādaloñ meñ chāñd haa.il hone vaalā hai
asar ab aur kyā honā thā us jān-e-taġhāful par
jo pahle besh o kam thā vo bhī zaa.il hone vaalā hai
ziyāda naaz ab kyā kījiye josh-e-javānī par
ki ye tūfāñ bhī rafta rafta sāhil hone vaalā hai
hamīñ se koī koshish ho na paa.ī kārgar varna
har ik nāqis yahāñ kā pīr-e-kāmil hone vaalā hai
haqīqat meñ bahut kuchh khone vaale haiñ ye sāda-dil
jo ye samjhe hue haiñ un ko hāsil hone vaalā hai
hamāre hāl-mastoñ ko ḳhabar hone se pahle hī
yahāñ par aur hī kuchh rañg-e-mahfil hone vaalā hai
chalo is marhale par hī koī tadbīr kar dekho
vagarna shahr meñ paanī to dāḳhil hone vaalā hai
'zafar' kuchh aur hī ab sho.abada dikhlā.iye varna
ye dāvā-e-suḳhan-dānī to bātil hone vaalā hai
Top Urdushayar.com