ek hī baar nahīñ hai vo dobāra kam hai
maiñ vo dariyā huuñ jise apnā kināra kam hai
vahī takrār hai aur ek vahī yaksānī
is shab-o-roz meñ ab apnā guzāra kam hai
mere din raat meñ karnā nahīñ ab is ko shumār
hissa-e-umr koī maiñ ne guzārā kam hai
maiñ ziyāda huuñ bahut us ke liye ab tak bhī
aur mere liye vo saare kā saarā kam hai
us kī apnī bhī tavajjoh nahīñ mujh par koī ḳhaas
aur maiñ ne bhī abhī us ko pukārā kam hai
aaj paanī jo uchhaltā nahīñ pahle kī tarah
aisā lagtā hai ki is meñ koī dhārā kam hai
haath pair aap hī maiñ maar rahā huuñ filhāl
Dūbte ko abhī tinke kā sahārā kam hai
maiñ to rakhtā huuñ bahut roz ke roz in kā hisāb
āsmāñ par koī aaj ek sitāra kam hai
pesh-raft aur abhī mumkin bhī nahīñ hai ki 'zafar'
abhī us shoḳh pe kuchh zor hamārā kam hai