Zafar Iqbal

na usko bhul pae hain na humne yaad rakkha hai

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
na us ko bhuul paa.e haiñ na ham ne yaad rakkhā hai
dil-e-barbād ko is tarha se ābād rakkhā hai
jhamele aur bhī suljhāne vaale haiñ ka.ī pahle
aur us ke vasl kī ḳhvāhish ko sab se baad rakkhā hai
rukā rahtā hai chāroñ samt ashk o aah kā mausam
ravāñ har lahza kārobār-e-abr-o-bād rakkhā hai
phir is kī kāmyābī kā koī imkān hī kyā ho
agar us shoḳh par daavā hī be-buniyād rakkhā hai
ḳhizāñ ke ḳhushk patte jis meñ din-bhar khaḌkhaḌāte haiñ
isī mausam kā naam ab ke bahār-ījād rakkhā hai
ye kyā kam hai ki ham haiñ to sahī fahrist meñ us kī
bhale nā-shād rakkhā hai ki ham ko shaad rakkhā hai
jise lafz-e-mohabbat ke ma.ānī tak nahīñ aate
use apne liye ham ne yahāñ ustād rakkhā hai
javāb apne ko chāhe jo bhī vo malbūs pahnā.e
savāl is dil ne us ke aage mādar-zād rakkhā hai
'zafar' itnā hī kaafī hai jo vo raazī rahe ham par
kamar apnī pe koī bojh ham ne laad rakkhā hai
Top Urdushayar.com