bikhar bikhar ga.e alfāz se adā na hue
ye zamzame jo kisī dard kī davā na hue
safar meñ gosh bar āvāz thā har ik zarra
khulā thā sāmne sahrā hameñ sadā na hue
na.ī havā meñ mahak hai purāne pattoñ kī
jo ḳhaak ho ga.e par shāḳh se judā na hue
havā ke saath ka.ī ashk se uḌe to sahī
kisī to retīlī miTTī kā āb-o-dāna hue
ġhazal meñ the bahut āzāda-rū 'zafar' lekin
talāzumāt kī zanjīr se rihā na hue