īmāñ ke saath ḳhāmi-e-īmāñ bhī chāhiye
azm-e-safar kiyā hai to sāmāñ bhī chāhiye
kuchh asl to khule kahīñ is zor-o-shor kī
dariyā ke rāste meñ bayābāñ bhī chāhiye
bhaḌkā to hai badan meñ lahū kā gulāb sā
mushkil hai ye ki tañgī-e-dāmāñ bhī chāhiye
us ke na.ī qamīs ke tohfe kā shukriya
lekin yahāñ to pairahan-e-jāñ bhī chāhiye
is tīrgī meñ partav-e-mahtāb-e-ruḳh ke saath
kuchh aks-e-āftāb-e-garebāñ bhī chāhiye
mushkil-pasand hī sahī maiñ vasl meñ magar
ab ke ye marhala mujhe āsāñ bhī chāhiye
kuchh us taraf bhī josh-e-jafā hai nayā nayā
kuchh zulm apnī shaan ke shāyāñ bhī chāhiye
Darte bhī rahiye us se ki is meñ bhī hai mazā
lekin kabhī kabhī zarā shūñ-shāñ bhī chāhiye
mashshātagi-e-ma.anā bahut ho chukī 'zafar'
kuchh roz ab ye zulf pareshāñ bhī chāhiye