Zafar Iqbal

rafta rafta lag chuke the hum bhi diwaron ke sath

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
rafta rafta lag chuke the ham bhī dīvāroñ ke saath
hashr apnā bhī yahī thā ham bhī the sāroñ ke saath
ek halchal sī machī rahtī hai dil meñ har ghaḌī
saath haiñ pyāre hamāre ham nahīñ pyāroñ ke saath
lag ga.ī thī maut kī apnī bhī chhoTī sī ḳhabar
āḳhir apnā bhī ta.alluq thā in aḳhbāroñ ke saath
aa rahī hai un kī ḳhū bū apne andar bhī kahīñ
haiñ re.āyā hī magar rahte haiñ sardāroñ ke saath
farz kuchh pagḌī bachānā bhī hai lekin ek din
dekhnā sar bhī chale ā.eñge dastāroñ ke saath
duur se to farq hī koī nazar aatā nahīñ
is tarah rul mil ga.e haiñ phuul añgāroñ ke saath
ho ga.ī hai shakl hī tabdīl darbāroñ kī ab
varna ham bhī kam nahīñ vābasta darbāroñ ke saath
paḌ ga.e the rā.egāñ pahchān ke chakkar meñ ham
apnī marzī se jo ham uḌte nahīñ Dāroñ ke saath
be-ta.alluq bhī hai vo ham ne bhī hai ab tak 'zafar'
rābta joḌā huā TuuTe hue tāroñ ke saath
Top Urdushayar.com