Zafar Iqbal

dariya-e-tund-mauj ko sahra bataiye

Zafar Iqbal

Okara, Punjab, Pakistan

1933
dariyā-e-tund-mauj ko sahrā batā.iye
sīdhā bhī ho savāl to ulTā batā.iye
jaisā bhī hai vo sāmne sab ke hai kis liye
aisā batā.iye use vaisā batā.iye
kyuuñ chhoḌ kar gayā thā vo kyuuñ phir se aa gayā
aage batā bhī sakte the ab kyā batā.iye
mahfil kī raunaqeñ hoñ ki bāzār kā hujūm
ye dil jahāñ bhī ho ise tanhā batā.iye
yā qatl kījiye use apne hī naam par
yā ajnabī ko shahr kā rastā batā.iye
jis kī kabhī jhalak bhī na dekhī ho umr bhar
tū hī batā 'zafar' use kaisā batā.iye
Top Urdushayar.com